27 Dec 2012

Ye Rishta- Kya Kehlatha Hai?


Jab mile na patha tha ki rishta aisa hota hai,
Rishta jo haste khelte beeth jaata hai- Jaate jaate bhi ankhon me ansu latha hai
Latha nahi sirf ansu,kuch yehsaas bhi chod jaata hai
Jab mile nahi patha tha.... Kuch aisa hoat hai

Phir milne ko dil chahta hai, kuch kehne ko dil chahta hai,
Kuch kehdon tho kaise kehdon, ye soch ke ghabraatha hai,
Ye rishta- kya kehlatha hai?

Phoolon sa masoom, muskurahat si nadaan,
Ankhon me sapne, phir tanha rahonme inthzaar,
Ye kaisa hota hai, ye kuin hota, aisa rishta kya kehlatha hai?

Roz roz ki kashmakash, roz roz ki bechaini,
Roz aapke aane ka abhas, roz apke saath rehne ka yehsaas,
Ye kya hai? Ye kuin hota- hamara rishta kya kehlata hai?

Bheed me nazaar doondti rehjaathi hai, beed me bhi dil tanha ho jaata hai,
Kahin door se aapke bulane ki awaaz, tho kabi ghesuvon ko sehlane ka andaaz,
 Aisa kuin hota hai, ki ye rishta kuch khas lagtha hai?

Ye sirf hum hain jo ye mehsoos karthe hai, ki aap bhi mujhe yaad kar the hain,
Ye sirf hamara dil hai jisme aap rehthe hain, ya aisa bhi hai ki aapke dil me hum bhi rehthe hain?
 Agar ye hum donon me hai, tho bataye- ye rishta kya kehlatha hai?

Chup ho jaate hai bolthe bolthe, kho jaate hain aapki yaad me,
Muskuraathe hai rothe rothe, apki muskan yaad karthe karthe, kya aisa aapko bhi hota hai?
Hota hai tho kahiye ki ye rishta kya kehlatha hai?

Kuch ghanthe beeth jaate hai, aapki yaad me, na khana na peena- kuch yaad hai,
Kuch din beeth jaate hain, na sajna na sawana- kuch yaad hai,
Yuin barson guzar gaye- aapke inthzaar me, kya aap ko bhi aisa lagtha hai- ki aaj hum milne wale hain?
To kahiye ki ye rishta kya kehlatha hai?

Aapne wada kiya tha ki lautenge, humne wada kiyathe ki hum rukenge,
Aapne kahin wada tho nahi thoda na? Hum ab bhi rukhe hain rah takthe takthe.
Agar aisa hai, ki aap mukhar gaye wade se, agar aisa hai ki hum haar gaye waqt se,
Phir bhi hum poochenge aapse, ki ye rishta kya kehlaata hai? 

No comments:

Post a Comment