Kahin Door Hain, Anjaane Sheher Mein,
Kahin Kisi Mood Ke Kone Wale Kamre Mein,
Kahin Anjaane Logon Ke Beech Hain,
Kuch Jaane Anjaane Kaam Mein
Kahin Rasthe Doondthe Hain
Kahin Vichaar Zehen Me Baraste Hain
Kahin Se To Apnon Se Jood Jaaye
Jiske Liye Dil Tarastha Hain
Us Makaan Me Jahan Rehthe Hain
Bas Ek Kona Hai Jahan- Apne Hain
Us Dibbhe Me Jisme Doonthe Hain
Us Apne Ko Roz Apnana Chahthe Hain
Kabhi Tasveer Dekh Ke Muskurathe Hain
Kabhi Awaz Sunke Kho Jaathe Hain
Kabhi Us Pane Ki Koshi Me Jab Choothe Hain
Tho Jootha Samaj Kar Ansoon Bhar Aathe Hain
Kahin Door Hain, Anjaane Sheher Mein,
Kahin Kisi Mood Ke Kone Wale Kamre Mein,
Kahin Anjaane Logon Ke Beech Hain,
Kuch Jaane Anjaane Kaam Mein
Niranthar Prayas Kathe Hain
Niranthar Abhas Me Ulajthe Hain
Niranthar Ye Doori Keenche Jo
Isi Asha Me Dil Machltha Hai
Sadiyon Se Sapnon Me Khoye Hain
Sabme Apne Ko Doondthe Hain
Sare Sansar Ka Nazaara Ek Taraf
Vo Apnon Ki Mehfil Me Khojathe Hai
Sarhadon Ki Rokh-Thok Nahin
Sarhad Par Karne Ka Dookh Nahin
Sarhad Ke Cheer Kar Bas Ud Aana Hai
Par Udna Duniya Ko Manzoor Nahin
Kahin Door Hain, Anjaane Sheher Mein,
Kahin Kisi Mood Ke Kone Wale Kamre Mein,
Kahin Anjaane Logon Ke Beech Hain,
Kuch Jaane Anjaane Kaam Mein
No comments:
Post a Comment