Wo rathon ko jagna,
Jaagthe khona,
wo girna sambhalna
wo taqdeer ka rona,
wo sari hi batein,
yadein aur ghadiyan,
wo sare dost aur
dosti ki ghadiyan,
kahan gaye aaj,
wo dil ki mulakatein
Kahan gayi aaj,
muhabbat ki batein?
Wo ladna jha gad na,
phir hasna aur milna
wo haste huye rona,
aur rote huye hasna
wo ganein wo tarane
sang sang wo pal the purane
muskurathe jo the,
wo masti ki ratein
kahan gaye aaj,
wo dil ki mulakatein
Kahan gayi aaj,
muhabbat ki batein?
wo chupna, chupana,
tanhayi me yadon se jud jaana,
wo choti si kavita pe,
yuin chid jaana,
kabi root jaayein tho,
yuin dil lubhana,
nazaron se batein,
aur baton me sharmana,
kabi nazar jukake tho
kabi nazar ghumana,
kahan gaye aaj,
wo dil ki mulakatein
Kahan gayi aaj,
muhabbat ki batein?
Kuch bhi anokha to hua nahi. Jab dhoop sarchadhi to aankh khuli!! Subaeh hi pataa laga! Jahaan raat me soye wahaan din ke waqt, na aasra na zaaya!!
ReplyDeleteDo you also write....?
ReplyDelete