Jab hum sham ke chai pe apne angan me baite the.. kuch
khayal aaya…
Ye khayal aaya ki ye kya hai? Hum kya kar rahe hain?
Kali dimaag ko agar koi samjhe tho batayein… !!!
Phir hum ne khud jawad di… Ki ye… ye shayad ‘pal’ hai-
Ye Ek Pal hai,jo abhi aaya aurbas nikal jaata hai,
Phir who bhi ek pal tha jo ghoom ghoom ke vapas aata hai
Jab bhi wapas aata hai tho hamesha kuch yadon ko samet ke le
jaata hai
Isko humne kaha ghungrale pal… aate jaate, aate jaate bas
yadon ko ghumaate rehtha hai..
Jaise ki- roz school jaana, roz office jaana wohi aisi roz
wali pal jo roz aati hai
Phir humne socha jub ghungrale pal hain tho seedhe kuin
nahin…
Phir socha, ki wo pal jo kisi mod pe aate hai aur bas usmod
ke baad koi aur mod nahi ho
Tho vo pal jo hame peeche mudne ka mouka na de, vo wakai
seedhe pal hai
Jaise apna school, wahan se college, phir kaam, phir wahi jo
jisko wapas na paa sake
Ghungrale, seeghe, ek chota pal- aur bacha kya? lambe pal…
Yahi tho kahani hai… aadmi sabka hisaab lagaya par lambe pal
ki nahi
Jo shuru kahin aur hota hai, aur khatm kahin nahi hoti
Jab ankhein milthi nahin, dil milthe hain, kasme-vade aur
dil toot jaate hai- wohi pyaar ke pal
Jo sab jaante hain, papa mummy, dada- dadi, bhaiya- bhabhi
aur vo sab jo saan lethe hai karthe rehthe hain…
Aise hi hain ye pal, jisko kishore kumar pal pal dil ke paas
kehthe hain
Tho hrithik roshan ek pal ka jeena kehte hai…
Ab jo jisko mann me aaye kahein, mein tho kahoon har pal ko
jeena zaroori hai..
Jiyo tho khulke jiyo… pal tho bahut mil jaayenge…
aane waala PAL jaane waala hain
ReplyDeleteho sake toh zindagi bitha do
pal ye jaane wala hain....
Thank you Kumar :)
Delete