21 Jan 2014

Subhe se lakar shaam tak

Subhe se lakar shaam tak, shaam se lekar subhe tak...
bas yahi karthi rahti hoon, tera naam japthi rahthi hoon
Kuch yuin hi soch thi rehthi hoon, kuch khoi khoi rehthi hoon,
Subhe se lakar shaam tak, shaam se lekar subhe tak...
Main huin hi anjaan rehthi hoon...

hum milenge phir ek din, hum kahenge sari batein,
hum hasenge huin hi khulke, na karenge katti batein,
Bas yuin hi gungunathi rehthi hoon, tunhe yaad karthi rehthi hoon,
Subhe se lakar shaam tak, shaam se lekar subhe tak...
Main huin hi anjaan rehthi hoon...

Tanha hoon par tanha nahi, darthi pe hoon par soch kahin,
Zinda hoon par zinda nahi, aapki hoon par abhi nahi,
Kuch apne aap se kehthi hoon, kuch harkatein karthi rehthi hoon
Subhe se lakar shaam tak, shaam se lekar subhe tak...
Main huin hi anjaan rehthi hoon...

Mein shant hoon par dil nahi, mein khush hoon par khush nahi
aapke paas hoon par itni nahi, aur door aapho aisa lagtha nahi
Waqt se tej soch thi hoon, sapnon me khoi rehthi hoon,
Subhe se lakar shaam tak, shaam se lekar subhe tak...
Guzar the waqt ke saath guzarthi rehthi hoon

4 comments: