Ek baar phir waqt mujhe
usie ghadi pe lejaaye
Ek baar phir hum is
duniya ko bhool jaayein
Ek baar sirf himat kar,
mere kadam ulthe chalein
Tho phir ek baar hum jee
bharke jeelein
Ab roya karthe hai har
din har pal
Yadon ke aanson
me hath doya karthe hain
Itne dil ke kareeb jo
the,
Itne door kaise ho
jaathe hain
Takleef na denge ye
socha tha har pal
Sare khushiyon se aapko
maqbool kar,
Aapke saath marna chahte
hain
Ab bas marthe marthe
jeethe hain
Ek baar phir waqt mujhe
usie ghadi pe lejaaye
Ek baar phir hum is
duniya ko bhool jaayein
Ek baar sirf himat kar,
mere kadam ulthe chalen
Tho phir ek baar hum jee
bharke jeelein
Ye poochon mein khuda
se, kuch aisi taqat hame de
Jo dil chaye vo karein, aur hamari duniya basne de
Agar khuda sach hai, tho
aap mujhe miljaayein
Na milein tho kya kahein
bas, khuda mere liye marjaayein
Dard dil me jo hai,
kisise keh nahi sakthe
Isse zyada hum duniya se
kuch ummid nahi karsakthe
Sabse bachake aapko,
mehfoos chod diya
Aapko ye dil diya,
aapkeliye thod diya
Ye bath bas mere dil me
rehgayi,
Kisi bhule huye qabr me
dab gayi,
Jab tak aap phir guzroge
nahi iske paas,
Tab tak ye wahin
tadapthi rehjaayegi
Ek baar phir waqt mujhe
usie ghadi pe lejaaye
Ek baar phir hum is
duniya ko bhool jaayein
Ek baar sirf himat kar,
mere kadam ulthe chalen
Tho phir ek baar hum jee
bharke jee jaayein
Ek baar ko, ek baar padha, pata laga ek baar se bohot ziyaada hai yeh. chalo ek baar aur thodi fursat se ise padhun!! Ek baar.....phir se......
ReplyDeleteHi Naveed, can you give me your feedback on this? Trying to collect good ones from the lot to get it printed..
ReplyDelete