21 Jul 2009
Neye Log- Hindi
Ye meri Ghustaki hai ki maine hindi me bhi likhthi hoon, sach baath ye hai ki mein itni acchi hindi nahi jaanthi. Please dont mind if there is any mistake in my poem.
Hum kitne naye logon se milthe hain
sab do-char din keliye aathe hain
do-char din me chale jaathe hain
bas rehjaathi hai unki yaad
jo kuch dinno mein dhuaa ban jaathi hain
Hum jaane anjaane me patha nahi
kitne naye logon se miljaathe hain
Jitni chizein is kamre me padi hain
utne log mere dil me apna mohar chod gaye hai
har ek mausam me koi naya aajaatha hai
har mausam me vo phir yaad atha hain
hum jaane anjaane me patha nahi
kitne naye logon se miljaate hain
Ab mere jaane ka waqt aa gaya hai
par in sabki yaad mujhe tadpa rahi hai
kisiki muskuraahat uski aur khinchein,
tho kisiki bathein khamoshi me bhi gungunaarahi hai
aisi hi ye kuch chizen hain, jo hamein
aur jeene pe majboor kar rahi hain.
hum jaane anjaane me patha nahi
aise hi kitne naye logon se miljaathe hain.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
oye u write in hindi better than english this is not your so called "Ghustaki" Sachi its Gud
ReplyDelete