Badi kamzoor si pad gayi hoon,
YE- in ankhon me koi roshni kuin nahi hai?
koi aa raha hai, koi jaa raha hai,
apne aur paraaye me, koi farq kuin nahi hai?
umr yuin hi dal kaise gayi?
abhi bhi baagoan me kehlne ko
dil karta hai,
aaj kal bagh (garden) aur baagh (animal) me,
koi farq kuin nahi,
in kanon ko bhi koi awaaz
sunayi nahi deta.
Arre koi hai bhi?, ya main yuin hi,
fizool ki batein kar rahi hoon?
kuch goonjti huin, kuch machalti harkatein,
koi mere zamane ki batein kuin nahi karta?
Kya ye umr meri kabiliyat ka
ek tarazoo hai?
Ya mera tajuba mujhe taqlloof de raha hai,
ki mere hone aur na hone pe
kisi koi farq nahi padta?
Abhi bachpan ko jiya hi nahi
ki sab mere qabr ke intzaam me lage hai,
arre o'yaaron, koi chaar kandhe
ka bhi tayyari karlo,
hum aaj kal qabr taq bhi
akele jaa na paayenge
Pata nahi, koi sun raha hai bhi ki nahi?
ek waqt aisa bhi beet raha hai.
No comments:
Post a Comment