24 Aug 2013

Hum hui hi reh gaye

Kuch unkahi batein dil me rehgayi
Kuch unsuni kahaniyan dil me rehgaye
Kuch khas abi bacha nahi hai
Kuch kuch hum nahi rehgaye

Aap aap bane, aap ki duniya bani
Aap ne apne bane, aap ki zindagi bas gayi
Apne sansaar ko aapne banaya,
Aur hum kuch huin hi sochthe rehgaye

Dekha aapka rasta, door door tak socha
Dil me aapke nahone ka, dard leke jiye
Dard reh gaya, yadein bhi reh gayi
Aap bas gaye, hum huin hi rah gaye

Jeele aap zindagi apni, zindagi meri huin hi tham gayi
Saat aapke hone ka sapna, sapna reh gayi,
Aap banke kisi zindagi, kisike kaam ko aaye
Hum kiseeki ke bhi kuch na bane, hum hui hi rehgaye

Kuch koshish karte, kuch soch ke ruk jaate
Kuch kuch kabhi kehte, kuch dil me chup jaate
Batein itni thi batane ko, vo batein rehgayi,
Aap door itni chale gayi, hum hui hi rehgaye.

21 Aug 2013

Pyaar!!!!

Kuch aisi batein jo kabi kehna sake,
Kuch aisi harkatein jo kabi karna sake
Kuch aise pal jo pehle bitana sake
Kya pata tha vo ab hojaayega?

Kuch tho bath thi, jo nazaron se hoti thi
Kuch tho jasba tha, jo chehre pe dikhta tha
Kuch hakeekat bhi the, aur kuch kuch armaan,
Na pata tha ki, itne saalon baad bata payenge?

Zindagi jaise beet gayi khayalon me,
Hosh ka tho koi khabar nahi tha,
Tasveer bhi bas gayi thi aankhon me, samne ho tho kaisa ho khabar nahi tha,
Aaj, paas, itne paas ke jaise ye haqeet nahi- sapna ho, aisa lagega pata nahi tha!!!

Koi bada samandar jaise lagta tha dil ko,
Koi sapnon ke dariya me teer rahe the hum,
Baand kab aayega, zindagi sanvar jaayega,
Aisa bhi hoga, ye khayal bhi nahi tha...

Milan ka sukh, ya saalon ka fansla,
Dil ki batein, ya samna hone ha waqt,
Vo tab ki kwahish, ya ab ka manzar,
Ye jadoo ab bhi hoga, ye bilkul pata nahi tha...

Kuch bhi tha, ya jo kuch bhi na tha,
Sab chup sa tha, chup chup sa tha,
Chahat thi ya pyar tha, darr ya sharam,
Jo kuch bhi tha, dil tab bhi nadaan tha,
Aur ab bhi nadaan hai- tumse pyar hai!!