24 Nov 2010

Main aur kuch bhi nahi

Main kuch bhi nahi

Bas pani ki pyas,
Barsat ki aas,
Phoolon ke paas
Anjani raaz
Ye hi hoon!!
Main aur kuch bhi nahi

Zindagi me jeevan
Aag me agan
Khud me magan
Aur vshal gagan
Ye hi hoon!!
Main aur kuch bhi nahi

Samay ki suii
Koi naram ruhii
Tajurben me boyi
Ek ladi
Bas yahi hoon
Main aur kuc bhi nahin

Kwab hain

Kuch istarah ke khwab hain
Akon me samaye
Dil se banaye
Chandi se piroye

Aur kuch aise kwab hain
Jo sone nade
Jo rone nade
Jo duniya me mujhe khojaane nade

Kwab hain…

Bathaein tho kaise
Haqeekat banaye tho kaise
Hasil kiya jaaye tho kaise
Akhir ye sab khwab hi hain!!!

Kuch kwab hain
Rula rula ke satha thi hai
Satha satha ke sulathi hai
So so ke dekhthi hoon
Phir subhe sabko sunathi hoon

Kwab hain… ye mere kwab hain

Kuch kwab hain
Tumhe yaad dilathi hai
Meri yadon me sathi hai
Tumse milne majboor karthi hain
Phir soch ke jo huaa bhool jaathi hoon

Kwab hain… ye bhi mere kwab hain

Kuch istarah ke khwab hain
Akon me samaye
Dil se banaye
Chandi se piroye

Aur kuch aise kwab hain
Jo sone nade
Jo rone nade
Jo duniya me mujhe khojaane nade

Kwab hain…

Kabi idhar, kabi udhar

Kabi idhar, kabi udhar
Anjaan sheher me main bhatak rahi hoon idhar udhar
Kabi ye mile tho kabi vo
Anjaani shakleinmiljaathe hai roz roz

Main najaane kaun hoon, aur najane kya hoon
Main bas yuin hi anjaan banke
Bhatakthi rehthi hoon
Main kya chahthi hoon, aur kya chahthi hoon
Main baas, huin hi aapni duniya me
Shayad jeena chahthi hoon

Kabi idhar, kabi udhar

Tum aaoo mere pass tho shayad teek nalage
Tum jaaooge jab mujse milke tho shayad kwab lage
Main kya hoon sochoge
Par uska jawab kabi nahi paooge
Kuin ki, main shayad vo hawa hoon,
Jo joomthe, gaathe najaane kahan pahonch thi hoon
Main shayad tho toofaan hoon,
Jo ghoomthe ghoomthe behek jaathi hoon
Main bas yuin hi apni duniya me
Shayad jeena chahthi hoon

Kabi idhar, kabi udhar

Tumhe lage jab main tumhari dost hoon
To hoon, hamesha tumhare sath hoon
Tumhe lage ki main jeevan hoon,
To hoon, sirf jab tak tum jeena chahoge
Main ye bhi hoon, main vo bhi hoon
Par, main bas yuin hi apni duniya me
Shayad jeena chathi hoon

Kabi idhar, kabi udhar

Is sheher me agar tum dost ho to
Us sheher me koi aur mera dost tha
Is sheher tum tumne apna tho
Us sheher me kisi aurne apnaya tha
Yahan main tumhe kush rakhna chathi hoon
To vahan usko bhi khush rakhna chahthi hoon
Isliye nahi kuin ki main tum logon se anjaan hoon
Isliye kuin ki, main tumhari zindagi me khushi laana chahthi hoon
Main bas yuin hi apni duniya me
Shayad jeena chathi hoon

Kabi idhar kabi udhar