24 Aug 2009

Aye sanam ki narazgi

Aji aisi bhi kya narzgi, jiska jawab hum na de paayein
Aise rooto na piya, ki hum aapko awaz na de paayein

Bhavra hai dil, tumhari khushboo se dil bhar jaaye
joote na ithraaoo, Kabi tho aap maan bhi jaayein

Preet hamare dil ke, root gaye hain
unhe mananeke labz choot gaye hain
kabi meri awaz se unki shaam banti thi
Ab hame awaz dena bhool gaye hain

Aji aisi bhi kya narzgi, jiska jawab hum na de paayein
Aise rooto na piya, ki hum aapko awaz na de paayein

Tumhari narazgi hai istarh, ki
Hawavon me narmi nahi hai,
Sardiyon me sardi nahi hai,
Rooke Sooke sa ped hoon mein,
Is pyase ko pani nahi hai........

Aji aisi bhi kya narzgi, jiska jawab hum na de paayein
Aise rooto na piya, ki hum aapko awaz na de paayein

Bhavra hai dil, tumhari khushboo se dil bhar jaaye
joote na ithraaoo, Kabi tho aap maan bhi jaayein

23 Aug 2009

Some Thoughts


1) Teri bahon mein aane ki gunjaish karte hai,
is liye teri rahonme khade hai.
Ab chahe tum aazmalo ya apnalo,
hum ankein bigoke rath guzaar rahe hain.

2) Udas man ko rahat mili,
tere aane ki jo aahat mili.
Khusboo si tum ne hawavon me bhar di hai,
in hawavon se muje
teri aane ki nazakat mili.
Tera sukriya mai ada kaise karoon,
tere pyar se muje rahat mili.

3) Diwana kar diya hai tere isharone,
iske jawab me mujhe ishara nahi aata.
Aapse judne ka muje rasta nahi pata.
Rukenge huin hi jab tak sans hai,
Kuin ki aap jaisa mehfoz muje aur koi nahi lagta.
Aap se door hone ko man nahi karta.